Kyun, kyun aaj tumhari yaad kuch aise aayi,
kisine joh tha kabhi pyaar se pukaara,
kisine joh kabhi tha neend mein se sapne ke tarah uthaya,
aaj kyun fir ussi ki ehsaas ne hawa se baatein karte hue ghungunaaya,
Kyun aaj fir tumhe meri yaad aayi?
iss bhag dhod bhari zindagi mein tumhari,
jahan tumhe apne maa se baat karne ka samay nhi,
papa ko joh Kiya hua vaada nibhane ka waqt nhi,
apne khud ke liye chain se khane ka ek lamha nhi,
Aise mein aaj kyun tumhe, mera pyaar, hamari yaadein sata gayi?
abh jabh aa hi gayi baat satah par maan ke tumhare,
theher jao jara, karo kuch guftagun kahaniyon se hamare,
kaha jaane ke jaldi hain tumhe, kya paana hain tumhe?
kya voh sabh, hoga kabhi badhkar hamari yaadon se?
jao uss samandar ke kinare jaha mile the pahile baar hum sabse,
jaha samandar ko bhi kinara mila, vaha pyaar ko hamare voh chhor kabhi dikha hi nhi,
Pucho aaj uss sangam se,
Kyun aaj fir tumhari aakhein bhar aayi?
Hijr – A pain of parting by Abhishek
Kyun, kyun aaj tumhari yaad kuch aise aayi,
kisine joh tha kabhi pyaar se pukaara,
