Skip to main content

Main Woh Phul hoon,
Jiski koi Mehek nhi

Koi mujhe chahe ya na chahe,

Mujhe koi Showk nhi

Phir bhi Chahta hun wahi titli ko,

Jiski main kabhi layak nhi

Aise hi karta hoon intezaar ,

Fir bhi usse koi parwa nhi

Kitni baar dekhun Uss ko,

 Aisi koi chamak kahin nhi 

Sirf ghur ne se kya fayda,

Kuch bol ne ko lafz hi nhi

Shayad usse hai dusre se pyaar,

Isiliye mujhe koi bhaw nhi

Dene ko toh shahed bhi hai,

Lekin usse koi jarurat nhi

Kyun ki mujh mein ye Kami hai,

Ki main itna Sundar nhi

Par kaise bataun ussko,

Ke Uss ke piche itna paagal koi nhi

Kaash uski Dil Tak pahuch paati,

Ki mere jaisa Sachha Ashiq kahin nhi

Kitna koshish karun uski Aankhon se 

Par Najariya samajh paana mumkin nhi

Dukh hai ki koi aur usse lejaye 

Lekin mujhe koi haq nhi 

Izhaar toh karna chahta hun

Uss ke paas jaane ki himmat nhi

Ussko dusre ke saath dekh ke

Khamosh rehna mere liye kafi nhi

Aur kya karun Uss ke liye

Ab mujhse koi umeed nhi

Woh khud kabhi aakar baat karti

Itni achhi kismat bhi nhi

Shayad yahi hai Ek Tarfa Pyaar,

Jiski usse koi kadar nhi

Dard sa rishta hai mera

Khushiyan mujhe naseeb nhi,

Mujhe bhi koi yaad kare

Main itna khusnaseeb nhi

Main hoon phul aur wo Titli

Bas yahi Mera bepanah pyaar,aur kuch nhi.

1
0

7 Comments

Leave a Reply